Google Pay App Kya Hai ? Aur Google Pay App Ko Use Kaise Karen


Hello Dosto, Digital Payment to aap sabhi use karte hi honge. ese me Google ne bhi ek shaandaar UPI based payment App. launched kar diya hai. jiska naam hai Tez. Google ne is App ko basically India ke liye hi launched kiya hai. 

Ye App ek UPI based payment App hai, jo ki Android aur IOS dono ke liye available hai. Google ne is App ko 18th September 2017 ko launched kiya hai, aur ye app itna popular ho gaya hai ki abhi tak is app ko 1 Million Downloads mil gaya hai. To Dosto Aaj Tech Hindi Gyan aap sabhi ko is article me Google Tez App ke baare me poori jaankari dene jaa rahi hai.
Google Tez App Kya Hai, Account Kaise Banaye, Tez Application, Google Tez, Google Tez Business

Tez App ek payment App hai jo ki UPI based hai. ye App sirf India ke liye launched kiya gaya hai. Google Tez App ki madad se aap kahin par bhi kisi ko bhi instant payment kar sakte hai aur receive bhi kar sakte hai. 

Is App ki khaas baat ye hai ki is App me koi Wallet system nahi hai. isme jo bhi payment hota hai wo direct Bank Account se credit ya debit hota hai. Ye Application Digital Payment ke liye bahut hi useful hai.


Google Tez App Kya Hai ?

Agar hum Simple word me kahen to Google Tez App ek Payment Application hai jiski madad se hum kahin par bhi online transaction kar sakte hai. yaani hum apne smartphone se kahin se bhi kisi ko bhi paise de bhi sakte hai aur kisi se paise le bhi sakte hai, sirf ek Application ki madad se. 

Ye App UPI based App hai. Jaisa ki aap sabhi ko pata hoga Tez ka matlab hota hai Fast, yaani ye ki fast money transfer ke motive se is Application ko banaya gaya hai. 

Money Transfer aur Online Transaction ke liye ye Application bahut fast mana gaya hai. is Application ko aap apne kisi bhi Smartphone me badi hi asani se istemaal kar sakte hai. Ye App Android aur IOS dono platform ke liye available hai.

Google Tez App Ki Kuch Khaas Features

Dosto is application ke kuch khaas features hai jo aap sabhi jo janna chahiye, hum aap ko point wise batate hai is app ki khaas baate.
  1. Google Tez App poori tarah se Free hai, isme koi bhi hidden charges nahi hai.
  2. Is Application me koi Wallet System nahi hai, Isme jo bhi transaction hoga wo direct Bank A/c se hoga.
  3. Tez App, Google ka product hai, isliye isme Google ki full Security diya gaya hai. isme Bank details hack hone ka koi chance nahi hai.
  4. Isme Direct Bank to Bank Money Transfer kar sakte hai.
  5. Direct Bank A/c me Money Transfer ya Receive kar sakte hai.
  6. Is Application me Referer Program bhi diya gaya hai, jiski madad se aap Paise bhi Earn kar sakte hai.
  7. Ye Application sirf India ke liye launch liye gaya hai, Isme English aur Hindi language ke saat saat Bharat ke aur bhi Local Langauges diya gaya hai jaise ki - Bangali, Panjabi, Tamil, Marathi, Gujrati, Telugu, Urdu, Etc.
Download Google Tez App



Google Tez App par Account Kaise Banaye

Google Tez App use karne ke liye sabse pehle Registration yani Account banana padhta hai. Tez App par Account banane ke liye niche bataye gaye steps ko follow karen :

Step 1 - Sabse Pehle Appko Tez App download karna hai. Uper diye gaye link par click karke aap apne anusaar Android ya IOS App download kar sakte hai.

Step 2 - Uske Baad Tez Application ko Open kijiye aur Language choose kijiye.
google tez app select language

Step 3 - Uske baad aapko apne Mobile Number enter karna hai, Yahan par aapko wahi number enter karna hai jo aapke Bank me registered hai.
google_tez_app_enter_mobile_number

Step 4 - Ab aapko apna Gmail A/c select karna hai aur Continue par click karna hai.
google_tez_app_select_gmail_account

Step 5 - Uske baad dosto, aapko apne mobile number ko verify karna hoga. aapke number par OTP aayega jo Tez App automatic varify kar lega.
google_tez_app_verify_mobile_number

Step 6 - Ab aapko security ke liye ek Pin set karna hai, aap chahe to apne phone ke screen lock ko bhi use kar sakte hai.

google_tez_app_set_pin

Step 7 - Ab Dosto Tez App ka Setup complete ho chuka hai. Ab aapko Tez App ke saat apne Bank A/c ko add karana hai. uske liye aapko Add Bank Account par click karna hai. Uske baad Bank name select kare aur aapke number par ek SMS send hoga aur automatic aapka bank A/c Tez App ke saat link ho jayega.
google_tez_app_add_bank_account

Step 8 - Bank Account add karne ke baad aapko first payment karna hoga. First payment karte hi aapko 51 rupey ka cashback milega jo direct aapke bank account me add ho jayega.


To Dosto, ye thi Google Tez Application ke baare me deep knowledge. Ummeed karta hu ki aapko samaj aa gaya hoga ki Tez App kya hai? aur ise kaise use karte hai? aur isme account kaise banate hai. 

Agar dosto abhi bhi aapko koi daut hai to aap hame comment karke puch sakte hai. aapko kuch bhi samajh me nahi aaya ho to aap hame kabhi bhi comment karke puch sakte hai. iske alawa aapka koi sujhaw ho to aap hame jaroor bataye. is article ko apne dosto ke saat share kijiye.


Related Post

Comments