Blogger Kya Hai ? What is Blog | Blogger & Blogging ? Janiye Hindi me

Hello Dosto, Blogger Kya Hai (What is Blogger) ? Blog kya hai (What is Blog) ? Blogging kya hai (What is Blogging) ? Ye 3 questions har un users ke liye important hai jinhe Blog ke baare me nahi bata, ya jo Blog to banana chahte hai lekin jyada knowledge nahi hai.

To Dosto, Tech Hindi Gyan Blogger | Blog | Blogging in teeno pr pura series bana rahi hai. blog pe ye pehla article hai jisme main aapko acche se samjhane ki kosis karunga Blog, Blogger, aur Blogging ke baare me, ki ye kya hai. Aur ye kaise work karta hai. Aur iske kya fayde hai. 

Next article me ham sikhenge  ki Blogger par Blog kaise banate hai. To chaliye Dosto, churu karte hai :-

what is blog, what is blogger, what is blogging, blog kya hai, blogger kya hai, blogging kya hai, blogging ke fayde,

Waise to dosto, aap sabhi ko Blog ke baare me sab kuch pata hoga, lekin ek samay tha jab aap Blog word pehli baar sune honge, aaj bhi ese bahut se log hai jo Blog word to sune hai, par unhe Blog ke baare me jyada kuch nahi pata. aaj Tech Hindi Gyan is article me Blog ke bare me acche se detail me batane jaa rahi hai.

Blog Kya Hai (What is Blog)

Dosto agar hum simple word me kahen to Online Writing ko Blog kahte hai. Ab ham ise thoda detail me samajh lete hai, maan lijiye ki aapko writing ka showk hai, aapko likhna pasand hai aur aap accha likh lete hai, to aap Internet par bhi likh sakte hai. Online aap kuch bhi likhte hai, jaise ke kisi Actor, Cricket, Place ke bare me yaa phir kisi cheej ka tutorial dete hai. To ise hi Blog kahte hai.
Blog ek Platform hai jis pe aap kisi bi subject/topic par (e.g. Tech Tutorial, Recipes, Online Services, Education, Etc.) Online likh kar publish kar sakte hai. Iske alawa aap apne personal interest, daily routine par bhi article ya post likh sakte hai. Aapko bata den ki ye bilkul waisa hi hai jaisa purane jamane ke log apne insidents ek dairy me likha karte the.

Dosto, Agar bilkul simple language me kahen to Blog ek Book likhne ki tarah hai. Bas fark sirf itna hai ki book offline likha jata hai, aur Blog online likh kar publish kiya jata hai.

Blogger Kya Hai ? (What is Blogger?)

In Simple word, Blog likhne waale person ko Blogger kahte hai. Matlab ye ki Blog par jo banda post/article likhta hai, jo banda blog ko banata hai, (start karta hai), jo banda blog ko manage karta hai use blogger kahte hai. Chaliye ek example se samajh lete hai, maan lijiye ki aap ek blog banana chahte hai, aapne ek blog create kiye aur us par aap post likhte hai, matlab ye ki aap is blog ke owner hai, to is case me aapko blogger kaha jayega.

Blogging kya Hai? (What is Blogging?)

In Short, Blogger apne Blog me jo bhi work karta hai, use Blogging kahte hai. Chaliye ab ise acche se samajhte hai, Blogger apne blog par post/article likhta hai, pages banata hai, comments ka reply karta hai, setting sahi karta hai, blog ko manage karta hai, matlab ye ki blog banane wala person apne blog me jo bhi work karta hai, us poore process ko blogging kahte hai.

To Dosto, mujhe ummeed hai ki aap samajh gaye honge ki Blog Kya Hai? | Blogger Kya Hai? | Blogging Kya Hai? Iske alawa agar aapko koi daut hai ya aapko koi cheej samajh na aai ho, ya phir aapka koi sawaal hai to aap humse comment ke jariye puch sakte hai. Aap hamare Contact Us page me jaa kar wahan diye gaye Form ko bhar kar bhi humse sampark kar sakte hai.

Related Post :

Comments