Apne Blogger Blog Ko SEO Friendly Kaise Banaye | 10 Killer Tips


Hello Dosto, Agar aap bhi naye Blogger hai aur apne Blog par Traffic na aane se pareshan hai. To ab aapko pareshan hone ki jaroorat nai hai. Search Engine Optimization yaani SEO hamare Blog ki Traffic ke liye bahut important role ada karta hai. 

Blog ke Traffic aur Search Result me aapki ranking Top par karne me SEO sabse aham role play karta hai. Jin post ke Title me acche Keyword hote hai wo Search Result me First Page par apna isthaan bana leti hai aur aapke Blog par adhik se adhik traffic laane me aur page views badhaane "Improve Blog Traffic" me safal hote hai.
How to make blogger post seo friendly 10 killer tips, How to make blogger post seo friendly, blog post ko seo friendly kaise bnaye, 10 killer blogspot seo tips, 10 killer blogger seo tips, 10 killer blogger post seo tips, 10 killer blog seo tips

Sabse Pehle hum jab Blog me koi post likhte hai to hame iski puri jaankari honi chahiye ki kis tarah ki post ko search engine show karta hai. Naye Blogger ke liye SEO Friendly post likhne ki jankari bahut hi jaroori hai, kyunki isse ham kisi bhi post se 40% ya usse bhi jyada traffic pa sakte hai. 

aaj Tech Hindi Gyan is article (Post) me isi ke baare me batane jaa rahi hai ki Blog ke post ko SEO Friendly kaise banaye? yaani apne Blog ko SEO Friendly kaise banaye?

Aap Sabhi ko bata den ki jab maine apne Blog par post publish karna start kiya tha to mujhe bhi iski jaankari nahi thi. lekin jab iske baare me pata chala, to mujhe apne blog ki sabhi post ko edit karni padi. 

Aaj SEO ke baare me kaafi kuch jaan chuka hun to shocha ki apna experience aap sabhi ke saath share karun. Mujhe ummeed hai ki aapko is post me kuch naya sikhne ko jaroor milega.

Jaisa ki aap sabhi ko pata hoga ki Blogger, Google ka product hai. aur ye poori tarah se Free hai. yaani blogger par aap free me blog bana sakte hai. Blog se ham apne vichaar logon ke saath share kar sakte hai. 

Lekin dosto, hamara sawaal ye hai ki ham apne blog ko search engine friendly kaise banaye. to iske liye aapko kuch steps follow karne honge, jinme se kuch ke baare me main aapko yahan bata raha hun.

Blog Post Ko SEO Friendly Banane Ke - 10 Killer Tips

SEO bahut hi Important hota hai kisi bhi Blog ke liye, isme ek choti si galti blog ki ranking ko bahut niche le ja sakti hai. Jab main SEO ke baare me article (post) likhta hu to mujhe ye dar rahta hai ki kahin kuch galti na ho jaye, kyunki ek halki si bhi galat jaankari kisi blogger ka nukshaan kar sakti hai. isliye dosto, SEO ke baare me kuch bhi main apni taraf se bana kar nahi likhta hun.

1. Post Ki URL Link - Parmalink
Dosto, Post ko search engine ranking me laane ke liye, post ki URL link yaani Parmalink - bahut hi aham role nibhati hai. Lekin Parmalink ko use karne ka bhi ek rule/tarika hota hai, jinhe aap follow karke apne blog ke post ki ranking ko aur bhi increase kar sakte hai. :-
  • Parmalink 50 Characters se jyada ki nahi honi chahiye.
  • Post ke Title me Stop Words Nahi hone Chahiye. (E.g. - A, An, The, Etc.)
  • Parmalink me kam se kam ek Keyword jaroor honi chahiye.

2. Use Keywords in Post
Keywords bhi bahut Important hote hai post ke ranking  ke liye. Aap ko bata den ki Search Engine, Keywords par sabse jyada dhyaan dete hai. Jis post me acche keyword hote hai us post ko search engine sabse pehle rank karta hai. Isliye dosto, Post likhte samay, Post se related popular keywords ko jaroor use karen.

Lekin ek post me ek hi keyword ko 10 baar se jayada use na karen. Aur ek jaroori baat - Post me wahi keyword use karen jo post title se related ho. Kyunki Search Engine, Keyword se post ko jaldi Index yaani Rank karta hai.

3. Blog Or Blogspot Label
Dosto, Agar aap ko blog label ke baare me nahi pata to main aap sabhi ko bata dun ki Label, ek post ko dusri post se jodhne ka kaam karti hai. Blog Label ko Tags bhi kehte hai. Post likhte samay hamesha yaad rakhe ki 1 ya 2 Label (Tags) jaroor Add karen. 

Aap apne blog ke har post me 1 se 3 Label add karte hai, to visitors aapke post me select lebel se aur bhi post padh sakte hai. Isse hota ye hai ki koi bhi users aapke blog label par click karke asani se dusri post ko bhi padh sate hai. Aur aapki blog ki traffic bhi increase ho sakti hai.

4. Related Posts
Dosto hame har post me kam se kam 2 se 4 related post ke link jaroor add karne chahiye. Aapne aksar dekha hoga dusro ke blog me 4 - 5 related post hoti hai. Jitne bhi popular blogger ye successful bloggers hai wo sabhi apne post me ese use karte hai. 

agar aap apne blog ke post me related post add nai karte, to aaj se hi ese use karna start kar dijiye. Kyunki jab user koi post open karke padhta hai to visitors ko wahin par related post dikh jaate hai. Visitors ko ek post se dusre post par le jaane ke liye sabse accha tarika hai.

5. Popular Post Ke Title
Aap ko bata den ki Search Engine Ranking ke liye aur Blog ki Traffic badhane ke liye ye sabse accha tarika hai. Aap ese Topics par Post likhen jo Search Engine me sabse jyada search kiye jaate ho.

Aap ese topics par post likhen jin par bahut kam bloggers ke post likhen ho. iske liye aap post topic ko google me search kar ke dekh sakte hai, ki isse related kitni post pehle se internet par maujood hai.

6. Image Customization
Aape Blog ke har ek post me kam se kam ek Image to jaroor honi chahiye. Kyunki Search Engine Sabse pehle Image ko Rank ye Index karta hai. Image ko Customize karke hi upload karen, jisse ki post jaldi open ho. 

Aapki har post Image me Title Tag & Meta Tag (Attribution) jaroor hone chahiye aur Image ki size hamesha customize karke hi upload karen. Yaad rakhen ki Image ki size 15kb se jyada na ho.

7. Meta Tags Description
Dosto, Meta Tag Description bahut Important hota hi post ko search engine me rank karane ke liye. Isliye Har post me Meta Tag Description jaroor likhen. Post likhte samay right side me Search Desription ka option milta hai, Meta Tag Description yahin par likhna hota hai. 

Agar aapke post me Search Desription ka Option nahi aa raha hai, to setting me jaa kar ese Enable karen. Search Description me 160 words me post ke baare me likhen. 

Yaad rakhen ki search desription 160 words se jyada ka nahi ho kyunki isse jyada hone par search engine aapke post ko ignore karega aur use rank nahi karega.

8. Other Related Post Links
Aap Apne har post me kam se kam 4 se 5 dusri post ke link jaroor add karen. Isse Visitors ko aur bhi post asani se padhne ko mil jata hai. aapko bata den ki har ek popular blogger aur successful blogger ise follow karta hai. 

Ise follow karne se aapko kitna benefit hoga ye sayad detail me batane ki jaroorat nahi hai, aap khud hi samajh sakte hai.

9. Post Comment Section
Comments ke through bhi post ko search engine rank karta hai. Sayad aapko pata nahi hoga ki BlogSpot yaani Blogger ki bhi Total Comments, SEO Friendly hoti hai.

Ese me agar koi bhi user aapki post ki comment se related word bhi search engine me search karta hai to bhi aapki post search result me aayegi. Bahut se Blooger post ke comments ko Off karke rakhte hai, Jo ki SEO ke liye bilkul galat hai. 

Comment ek Free aur Accha tarika hai post ko jyada SEO Friendly banane ka. Isliye main aapse insist karunga ki ese Enable jaroor rakhen.

10. Request to Visitors
"Ummeed Karta hu ki Aapko ye Post Jaroor Pasand aayi hogi. Is Post ko apne dosto ke saath Share jaroor Karen. Blog ko SUBSCRIBE karen. Aur agar aapka koi Sawal ya Sujhaw ho to hame Comment jaroor karen."
Dosto aapko bhi apne sabhi post ke end me visitors se request jaroor karna hai. Visitors se request karen post ko share karne ke liye, Blog ko Subscribe karne ke liye, Comments karne ke liye, Social Media par share karne ke liye. 

Kyunki Social Media par share ki gayi post ko search engine bahut jaldi index karta hai. Agar koi bhi user aapki requset ko accept karke aapki post ko share karta hai to isse aapko aur bhi visitors milte hai yaani aape blog par traffic increase hota hai. jisse aapko bahut phayda hoga.
-----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Mujhe Ummed hai ki aap is article/post ke sabhi steps ko follow karenge, Aur apne blog ke har post ko SEO friendly banayenge. Jisse ki aapke blog ki sabhi post ko Search Engine me jaldi aur sabse aage show karen.

To Dosto, ye the 10 points blog ki post ko SEO friendly banane ke liye. I hope ki aap in sabhi steps ko jaroor follow karenge. Ummeed karta hu ki aapko ye post pasand aayi hogi, agar post pasand aayi ho to please is post ko social media par share jaroor karen.


I Hope ki aap ko is post se SEO ke baare me kaafi kuch seekhne ko mila hoga. agar aapko SEO ke baare me kuch samajh na aaya ho, yaa hamse kuch miss ho gaya ho, to aap hame comment karke bata sakte hai. aur dosto, agar aapka koi sawaal, sujhaw ya aapki koi rae ho to please hame comment karke jaroor bataye.

Related Posts

    Comments