Computer Keyboard Ke Top 15 Best Shortcut Keys | Jo Bana De Kaam Aasan

Hello Dosto, Wese aapko pata hoga ki Computer me bahut se shortcut keys hote hai, Jisse hame computer par work karne me aur bhi asaani ho jati hai aur shortcut keys use karne se hamara work jaldi bhi ho jata hai. 

Yaani ham Keyboard shortcuts se command de kar hamare work ko aur bhi aasan bana sakte hai. Lekin dosto kya aapko pata hai ki keyboard me bahut se ese shortcut keys bhi hai jo aapke galti/mistake ko bhi theek kar sakte hai. Ese hi ek command hai :

"CTRL + Shift + T"

Is Commant ka use aapko bata dun : E.g. Aap Browser me 3 - 4 Tabs open karke koi work kar rahe hai. Aur achanak aapka browser band ho jaye ya koi Tab galti se band ho jaye to aap is command ki madad se browser me un sabhi tabs ko Re-Open kar sakte hai.
Top 15 Computer Shortcut Keys Which makes work easily, Top computer shortcut keys, computer shortcut keys,

Benefits of Computer Shortcut Keys
Computer ke shortcut keys hamare work ko bahut hi asan bana deti hai, aur saath hi saath work ki speed bhi badha deti hai. Isliye shortcut keys ki jankari hona jaroori hota hai. 

Aaj ham aapko is article/post me computer ke top and best shortcut keys ke baare me batane jaa rahi hi, jinko use karke aap apne work speed badha sakte hai aur galti ko thik kar sakte hai.

Computer Keyboard Ke Top 15 Shortcut Keys


1. CTRL + T
Aapko bata de ki ye shortcut key bahut useful hai sabhi internet users ke liye, kyunki [ctrl+t] key browser se related hai. Is key ke madad se aap kisi bhi browser me New Tab Open kar sakte hai.

2. CTRL + Shift + T
Ye Key bhi kaafi useful hai, aur ye key internet users ke liye best hai. ye bhi browser se hi related hai. maan lijiye ki Aap Browser me 3 - 4 Tabs open karke koi work kar rahe hai. Aur achanak aapka browser band ho jaye ya koi Tab galti se close ho jaye to aap is command ki madad se browser me un sabhi tabs ko Re-Open kar sakte hai.

3. File + F2
Sabse pehle dosto ham aapko bata de ki File button keyboard me Ctrl aur Alt button ke bich me hota hai. Ise ham Window Key bhi kehte hai. Is key ke madad se aap apne computer ke kisi bhi file ya folder ke name ko change kar sakte hai. Yaani aap mouse ke lambe process se bach sakte hai. Aap sirf F2 key se bhi name change kar sakte hai, magar ye har jagah work nahi karta.


4. Shift + Home
Paragraph ke kisi line ko ek saath copy karne ke liye Shift+Home key use karte hai. Agar aap kisi paragraph me se koi ek puri line copy karna chahte hai to is key ko use karen.

5. CTRL + Left or Right
Is key ka work ham aapko ek example se samjhate hai. Maan lijiye ki aap kisi page par typing kar rahe hai, aur aapse koi word galat ho gaya hai, lekin aapne dhyan nahi diya aur aage badh gaye, ab aapko wrong word tak jaane ke liye left/right key ya mouse ki help se jayenge. lekin aap Ctrl + left ya right key ke madad se direct ek word par jaa sakte hai.

6. CTRL + Up or Down
E.g. - Aap kisi page par typing kar rahe hai, Kisi paragraph ke first line par ya last line par jaane ke liye Ctrl + Up ya Down key use karte hai.

7. Window + M
Ab Dosto aapko kisi bhi file, folder ya browser ko minimize karne ke liye mouse ka use nahi karna padega. Mouse ke long process se nahi gujarna hoga. Ab aap simply Window + M key press kar ke sidhe sabhi file, folder ya browser (Jo bhi open hai) un sabhi ko Minimize kar sakte hai.


8. CTRL + Shift + Left or Right
Ctrl + Shift + Left ya Right key ke madad se aap kisi page ke words ko copy kar sakte hai. Maan lijiye ki aap kisi page me  hai, aur aapko cursor ke position se left ya right ke sabhi words ko copy karna hai, to aap Ctrl + Shift + Left ya Right key use kar sakte hai.

9. CTRL + Shift + Up or Down
Jaise left aur right ke sabhi words ko copy karne ke liye Ctrl + Shift + Left ya Right key use karte hai, waise hi agar cursor ki position se upar ya niche tak copy karna ho to ham Ctrl + Shift + Up ya Down key use karte hai.


10. CTRL + Backspace
Typing karte samay hamse aksar galti hoti hai, aur ham galat word ko delete karne ke liye bar bar Backspace key dabate hai. Lekin dosto, agar ham Ctrl + Backspace key use karte hai to direct ek pura word delete hota hai. Isse aapka kaafi samay bach sakta hai.

11. Window + PrintScreen
Is key ke help se aap apne computer ya laptop ki screen ko directly capture kar sakte hai. Yaani direct screen shot le sakte hai, aur ye screenshot, libraries ke ander pictures wali folder me save ho jaati hai.

12. Window + L
Computer ya Laptop ko lock karne ke liye is command ka use karte hai. Aap computer par koi work kar rahe hai, achanak aapko koi other work ke liye kain jana pada ya maan lijiye toilet jana hai, aur aap chahte hai ki mere P.C se koi cherkhani na kare, to aap is command ko use kar sakte hai.

13. CTRL + Plus or Minus
Is Command ki madad se aap browser me screen ko zoom in aur zoom out kar sakte hai. Aap Ctrl + Plus key se screen zoom in kar sakte hai. aur Ctrl + Minus key se screen ko zoom out kar sakte hai.


14. CTRL + Tab
Ye command bahut useful hai sabhi internet users ke liye, kyunki ye command bhi browser se related hai. Internet use karte samay ham kayi sare tabs open rakhte hai, aur direct ek tab se dusre tab me jaane ke liye Ctrl + tab key use karke jaa sakte hai.

15. CTRL + Shift + Esc
Task Manager ko open karne ke liye Ctrl + Shift + Esc key use karte hai. Jab P.C. ki koi file ya folder hang karne lagta hai yaani (Not Responding) likha hota hai to wo close nahi hota hai. 

Is situation me ham Task Manager ko Open karke us program yaani file ya folder ko close karte hai. Is shortcut key ke help se aap direct task manager open kar sakte hai.


To Dosto, Ye the Top & Best 15 Computer Shortcut Keys - Jinko agar aap follow karte hai, to P.C pe work karna aapke liye aur bhi aasan ho jayega. aur speed bhi kaafi badh jayegi. I hope ki aap jaroor in sabhi shortcut key ko yaad karke, inhe follow karenge.


Ummeed karta hu ki aapko ye article/post pasant aayi hogi. Agar aapka jawab haan hai, to please is post ko social media pe share karen, sabhi ke saath share karen. hamare blog ko FOLLOW karen. ye bilkul FREE hota hai. Aur dosto aapka koi sawaal ya sujhaw hai to aap hame comment karke jaroor bataye. Ham aapke comments ka reply jaroor karenge.

Related Post :

Comments