WhatsApp Ka Naya Update | Message Bhej Kar Kajiye Delete | "Delete For Everyone"

Hello Dosto, WhatsApp Ka Naya Update aaya hai. Jiske Baad agar aap apne WhatsApp ko Upgrade yaani Update karte hai, to uske baad aap kisi ko bhi bheje gaye hue message ko 7 minute ke ander delete kar sakte hai. 

WhatsApp ke is naye feature ka naam hai "Delete For Everyone". Pehle is feature ko Beta Testing ke liye launch kiye gaya tha. Lekin ab WhatsApp ne is feature ko officially taur par sabhi ke liye launch kar diya hai. Is feature ko Android, Ios, aur Windows ke liye diya gaya hai.

WhatsApp new Update, WhatsApp launched new feature delete for everyone
Aap sabhi ko bata den ki WhatsApp ne is feature ko isliye shuru kiya hai, taaki galti se bheje gaye hue msg ko samay rahte wapas liya ja sake. Yaani ki ab Users se agar koi message galti se send ho jata hai, to wo us message ko 7 minute ke ander delete kar sakta hai. 

Apne paas se bhi aur saamne wale ke paas se bhi. Lekin Dosto, Ye feature aap tabhi use kar payenge jab aapne aur saamne waale ne whatsapp ka latest version update karke rakha hoga.


Is Feature ki Kuch Acchi Aur Khaas Baate :
  • Text Message ke saat-saat Photos, Videos, GIF, Documents, ko bhi Delete kiya ja sakta hai.
  • Ye Feature Individual chat par hi nahi balki Group Chats me bhi kaam karega.
  • Bheje gaye message ko 7 minute ke ander delete karna jaroori hai, uske baad ye feature kaam nahi karega.
  • Aapka aur saamne waale ka (Dono Ka WhatsApp) update hona chaiye.
  • "Delete For Everyone" par click karne se Dono ke phone se msg delete ho jayega.
  • Photos, Videos, GIF, aur Documents, ko delete for everyone karne se samne waale ke wahtsapp se hi nahi balki uske phone gallary se bhi delete ho jayega.

Is Feature ka laabh uthane ke liye whatsapp ka latest version dono ke smartphone me install hona chahiye. Isme Text message ke saat saat sabhi format ke msg ko delete kiya ja sakta hai chahe wo photos, videos ho ya documents. 

Text ke alawa other format ke msg ko delete karne par saamne waale ke, phone gallery se wo msg delete ho jayega.

To Dosto ye the WhatsApp ke naye update ka naya feature. Halanki, Facbook me ye feature kab tak ayega ye abhi saaf nahi hai. WhatsApp duniya ka sabse bada messaging App me shumaar hai. Isme daily lagbhag 1 Billion se bhi jyada log chat karte hai.

Is Feature ko kaise use karen ↓↓↓↓↓ Video se samajhiye


Ummeed karta hun ki aapko ye article/post jaroor pasand ayi hogi. Aapka koi sawaal ya sujhaw ho to aap hame comment karke jaroor bataye. Is post ko apne sabhi dosto ke saat sahre karen taaki unhe bhi pata chale ki is feature ko kaise use karna hai.


Related Post

Comments