Android Smartphone Me Calls / Messages Block Kaise Kare

Hello Dosto, Kayi baar hum apne kisi important kaam me busy hote hai, Aur baar baar call aane se hum parshan ho jaate hai, Aur apne kaam se disturb hone lagte hai. Iske alawa Company ki bhi baar baar calls aur messages aane se ham pareshan ho jaate hai.

Android Smartphone Me Calls / Messages Block Kaise Kare

Aapko bata de, Smartphones ke aane se saare kaam asaan ho gaya hai, kabhi bhi kisi se baat kar sakte hai, bahut se kaam ham samrtphone se kar sakte hai. Lekin kayi baar ham inhi suvidhaon se pareshan bhi ho jaate hai. Aap kahi jaroori kaam se baithe hai, ya koi kaam kar rahe hote hai, ya so rahe hote hai, ese me unchahe calls aur messages aapko tang ya pareshan karte hai.

Is Case me, Hamare paas Ek Option hai en sabhi calls aur messages se bachne ka, najaat paane ka. Ham in sabhi Calls aur Messages ko Block kar sakte hai. Block karne se, Us Number se na to kabhi call ayegi aur na hi messages. Ese me aap, In sabhi calls aur messages se bachne ke liye third party software ka use karte hai, internet se call bloker lagate hai.

Lekin agar aap apne phone me thoda se dhyan de to aapko iska samadhan mil sakta hai.

Aapko bata de ki, Aapke Android Smartphone me hi "By Default" ye feature hota hai, Ki Aap kisi bhi Calls aur Messages ko Block kar sakte hai. Iska tarika bahut hi asan aur easy hai. Aap apne suvidha anusar kis number ko block karna hai, kis number ka call block karna hai, aur kiska messages block karna hai.

Ye sab asaani se set kar sakte hai. Aur Lagaye gaye number ko Block list se remove bhi kar sakte hai. Chaliye Seekh lete hai ki ye sara process kaise karna hai.


How To Block Calls & Messages

  • Sabse Pehle Phone ki "Setting" me jaye.
  • "Sound And Notification" par jaye.
  • "Interruptions" par jaye.
  • Ab Pehla option "When Calls And Notifications Arrive" ka milega.
Is Option ka matlab hota hai, Aap kitne samay tak Calls, Messages aur Notifications se bachna chahte hai. Iske ander aapko teen options milenge. "Always Interrupt" "Allow Only Priority Interruptions" aur "Don't Interrupt".
  • By Default ye "Always Interrupt" par select hota hai. Yaani Saare calls aur messages aapke phone par ayenge.
  • Dusra Option hai "Allow Only Priority Interruptions" ise aap tab select karenge jab aapko Call ya Message me se kisi ek ko rokna hai. Aur kitne samay ke liye rokna hai.
  • Aur teesra hai "Don't Interrupt".
Agar aap apne phone me sabhi cheej rokna chahte hai jaise - Calls, Messages, Notifications, Event, Reminder, Alarm. To aap is option ko select karenge. 15 Min se lekar 8 Ghante tak ke liye aap apne phone ke calls, message, notification, wagera ko rok sakte hai.
  • Set kiye gaye samay over ho jaane ke baad Interruption apne aap "On" ho jayega.

Ab Dosto, Niche hai "Priority Interruptions". Iske ander aapko teen Options milenge "Events And Reminders" "Calls" aur "Messages". Yahan se aap Jisse chahe use Rok sakte hai. Calls, Messages, Events, And Reminder, in sab me se aap jise chahe use "On" karke 15 Minute se 8 Ghante tak ke liye rok sakte hai. Uske baad ye automatic "Off" ho jayega.

Ummeed Karta hu ki upar bataye gaye sabhi steps aapko acche se samajh me aa gaya hoga. Agar abhi bhi aapka koi sawaal ya daut hai to please aap hame comment karke jaroor puch le. Iske alawa is post ko sabhi ke saath share kar ke aur bhi logo ki madad kare.

Related Post :

Comments