Corrupted / Damaged Memory Card Ko Repair Aur Data Recover Kaise Kare

Hello Dosto, Aksar hum Memory Card Kharab ho jane ke baad use phek dete hai. Lekin hame esa nahi karna chahiye. Kyunki Currupt aur damaged memory card ko hum dobara se sahi kar sakte hai. Aur Uske Data ko recover kar sakte hai. 

Ek Chota sa Chip jise hum apne Mobile, Camera, DSLR me storage ke liye istamal karte hai. Aur agar ye chip yaani Memory Card ek baar kharab ho gayi, To hum apne data ko lekar kaafi pareshan ho jate hai. 

Ese me aksar hum apne memory card ko kharab samajh kar phek dete hai. Agar aapke paas bhi hai koi Currupted / Damaged Ya Kharab Memory Card to ye post aapke liye hi hai. Apne Memory Card ko phekiye nahi, Kyunki aap use dobara se sahi kar sakte hai aur uske data ko bhi asani se recover kar sakte hai.

Corrupted / Damaged Memory Card Ko Repair Aur Data Recover Kaise Kare


Causes of Memory Card Damage
  • Bina Eject kiye, Memory Card ko Mobile ya P.C se Remove karna.
  • Copy ya Move karte samay SD Card ko Remove karna.
  • P.C ya Laptop me jayada Virus ke karan SD Card Damage ho sakta hai.
  • Jyada Format karne se bhi SD Card Damage ho sakta hai.
  • Kayi Tarah ke Operating System me SD Card ka Use karna.
  • SD Card par jodh parne se bhi Memory card toot sakta hai.


Repair Corrupted / Damaged Memory Card


Sabse Pehel aapko apne currupted ya damaged memory card ko apne P.C ya laptop me lagana hoga. ese aap asani se Card Reader ki help se USB Port me laga sakte hai. Uske baad Niche bataye gaye Steps ko Follow kare.
  • Press Window Key + R.
  • Type CMD > Enter.
  • Type DISKPART > Click on Yes Botton.
  • Type LIST DISK > Enter.
Corrupted / Damaged Memory Card Ko Repair Aur Data Recover Kaise Kare

Diye gaye photo ke anusar is P.C me total 2 disk hai. Ek Hard Disk 465 GB ki Jo ki hai Disk 0.
Aur Dusri hai 1875 MB ki, Ye hai hamari currupted Memory Card. Ise hame sahi karna hai.
  • Type SELECT DISK 1 > Enter.
Corrupted / Damaged Memory Card Ko Repair Aur Data Recover Kaise Kare
  • Type CLEAN > Enter.
Corrupted / Damaged Memory Card Ko Repair Aur Data Recover Kaise Kare

  • Type CREATE PARTITION PRIMARY > Enter.
  • Type ACTIVE > Enter.
Corrupted / Damaged Memory Card Ko Repair Aur Data Recover Kaise Kare

  • Type SELECT PARTITION 1 > Enter.
Corrupted / Damaged Memory Card Ko Repair Aur Data Recover Kaise Kare

  • Type FORMAT FS=FAT32 > Enter.

Ab Dosto, Yahan par ye 100 % tak jayega. Aur uske baad apka Memory Card Ya Pan Drive Sahi Ho jayega. Ab Apko Command Prompt ko band karna hai to Simple Type kijiye EXIT > Enter. Ab aapka Memory Card sahi ho gaya. To is tarah se aap apne SD Card ya Pan Drive ko asani se sahi kar sakte hai.

Corrupted SD Card se Data Recover Kaise Kare

Chaliye Ab Dekhte hai Corrupted / Damaged SD Card ya Pan Drive se Data Recover kaise karte hai, Waise to Data Recover karne ke kayi tarike hai. Ek tarika hai CHKDSK Utility Software ki madad se  corrupted SD Card ke Data ko recover kiya ja sakta hai. 

Par ye thoda difficult aur kaafi jyada Risky hai. Kyunki ye MFT or File Location Table me changes kar sakta hai. Isliye hum kisi bhi Software ka use nahi karenge.

Sabse pehle apne SD Card ya Pan Drive ko apne P.C se connect karde yani USB port ke jariye laga de.
  • Ab "My Computer" par jaye. Aur SD Card par Right Click Kare.
  • Ab "Properties" par click kare.
  • Uske baad aapko uper "Tools Bar" par click karna hai.
  • Ab Click kijiye "Error Checking" par.
  • Ab "Fixing File System Error" ke checkbox par click kare.
  • Aapko bata de ki, jab tak Drive ko Letter Assign nahi hota tab tak computer us drive ko read nahi karta.
  • Scan karne par kayi baar SD Card sahi ho jata hai.
  • Par Kayi bar letter to assign ho jata hai, aur drive bhi show karta hai. Lekin open karne par e-insert ka error pop up aata hai. Is condition me Aapko Software ka istemal karna padega.


Video Se Samajhiye :


To Dosto, is tarah se aap badi hi asani se apne Corrupted / Damaged Memory Card Ya Pan Drive ko Repair bhi kar sakte hai. Aur Data Recover bhi kar sakte hai. Ummeed karta hu ki aapko pura process acche se samjh me aa gaya hoga. 

Agar abhi bhi koi sawaal ya daut ho to aap hame comment karke jaroor bataye. Aur is post ko sabhi ke saat Share kare.

Related Post :

Comments