Android Secret Hidden Tips & Tricks | Android Hindi Tricks 2018

Hello Dosto, Tech Hindi Gyan ke ek aur naye Article/Post me aap sabhi ka bahut bahut swagat hai. Article / Post Padhne ke baad, Agar aapka koi sawaal ya daut ho to Comment karke jaroor puche. Iske alawa Is Post ko sabhi ke saath Share kare, Aur Tech Hindi Gyan ko SUBSCRIBE kare, Jisse ki hamare sabhi naye post ki Notification aapko lagatar milti rahe.


Android Secret Hidden Tips & Tricks | Android Hindi Tricks 2018

Android Smartphone Lagbhag Aaj Sabhi ke paas hoga. Aur Log Extra Features paane ke liye kayi jagah se applications download karte hai. Lekin Kya aapko pata hai har jagah se Apps. download karne se aapke phone par viruses attack kar sakte hai. aur aapke phone ko kharaab hone ka khatra bhi ho sakta hai. 

Agar aap Google Play Store se Apps. Download Karte hai, To koi baat nahi , Phir aapko ghabraane ki jaroorat nahi hai. Lekin Kya aapko pata hai ki Aapke Smartphone me kayi esi Features hai, Jiske baare me kisi ki bata nahi hota. 

Ise Ham Android Smartphone Ke Secret Hidden Feature keh sakte hai. Kya Aap jante hai ki phone ki settings me kayi ese hidden features hote haijiska users ko pata hai hota hai. 

Android Smartphones Ki Settings Me kuch ese hidden features hote hai jo sayad hi kisi ko pata ho. Jisme - Phone Ke Icons aur uske text ko bada ya chota karna, phone ke speed ko badhana, games ki speed ko badhana, phone ko Black & White banana, Phone ke screen ko Zoom karna, Text ke Contrast ko badhne, Jaise Features saamil hai. 

To Chaliye Dosto, Dekh lete hai ye sabhi features ke baare me. Jisse ki aap apne phone ki performance ko aur jyada boost kar payenge.

Best Secret & Hidden Features Of Android

1) Enable Large Text

Is Feature ki madad se aap apne phone ke Text ko Large yaani Bade kar sakte hai, Phir chahe wo settings ki text ho, ya kisi application ke text, sabhi text large ho jayenge. Ye Kam Dikhne waale ya Kamzor najar waale Vyakti ke liye Best Feature Hai. 

To Iske liye aapko apne phone ke settings me jaana hoga. Aur iske baad niche diye gaye steps ko follow kijiye, Phir aapke phone ke sabhi text large ho jayenge.

  i) Settings Me Jaye.

 ii) Accessibility par click kare.

iii) Niche Large Text ke Option ko Enable kar de.

2) Display Zoom Kaise Kare.

Ye Featue bhi Kamzor Nazar Waale Insaan ke liye Best feature hai. Halakin, Is featue ka istemaal kar koi kar sakta hai, To ese me ye feature sabhi ke liye best hai. Wese Kamzor Nazar waale Log Jyadar Bade Display waala phone lena pasand karte hai, Jisse ki Unhe Phone ke Icon Aur Text Acche aur saaf dikhe. 

Lekin Android me aap is feature ka istemaal karke apne phone ke display ye screen ko zoom kar sakte hai. Is feature ko ek baar enable karne ke baad, Aap phone ke kisi bhi jagah par ho, aap scree par double touch karke screen ko zoom in aur zoom out kar sakte hai. Is feature ko Enable karne ke liye niche diye gaye steps ko follow kare.

  i) Settings me Jaaye.

 ii) Accessebility par click kare.

iii) Magnification Gestures par click kare.

iv) Ab ise ON kar le.

3) Increase Your Smartphone's Speed

Agar aap apne Smartphone ki speed ya performance se pareshan hai to aap apne smartphone ke secret setting aur hidden feature ki madad se speed ko asani se badha sakte hai, aur is problem ko solve kar sakte hai. Iske liye aapko apne phone ki settings me jaana hoga. Aur niche pataye gaye Steps ko Follow karna hoga.

  i) Settings me jaaye.


 ii) Developer Options par click karna hai.


iii) Agar aapko settings me Develop Options n dikhe to Aap Jeyenge -
About Phone > Build Number par 5 baar lagataar press karenge. Isse aapke Settings pe Developer Option enable ho jayega.


iv) Enable ho jaane ke baad Developer Options par click kare.


 v) Ab niche aapko Window Animation Scale Aur Transition Animation Scale ka Option show hoga.


vi) Be Default ye 1x hoga. Aapko ispar click karna hai, Aur ise Off kar dijiye, Yaa to ise .5x par set kar dijiye.


vii) Isse Aapke phone ki Animation Time kam ho jayega aur aap kisi bhi application par tezi se jaa sakenge, Aur isse aapke phone ki Speed Boost ho jayegi yaani padh jayegi.



4) Increase Your Game's Speed

Game khelna lagbhag sabhi ko pasand hai. Phir chaahe wo chota ho ya bada, smartphone me game sabhi khelna pasand karte hai. Lekin Game ki Speed aur performance ko badhane ka tarika sayad hi kisi ko pata ho. Aap apne phone ki settings se hi Game ki speed ko badha sakte hai. To uske liye aapko niche bataye gaye steps follow karna hoga.


  i) Settings me jaaye.


 ii) Developer Options par jaaye.


iii) Ab yahan par niche aapko Force 4x MSSA ka Option dikhega, Use ON ya Enable kar le.


iv) Uske baad Aap Behtareen Gaming Performance ka mazaa le payenge.




To Dosto, Ummeed karta hu ki mere bataye gaye sabhi steps aapko acche se samajh aa gayi hogi. Agar abhi bhi aapka koi sawal ya daut hai to aap hame comment karke puch sakte hai. Iske alawa is post ko sabhi ke saath share kare. Aur Tech Hindi Gyan ko FOLLOW / SUBSCRIBE kare. Jisse ki hamare sabhi naye post ki notifications aapko lagataar phone me milti rahe.

Apna Kimti Samay Dene ke liye Aur Post padhne ke liye !!!

Thanks / Dhanyaawaad ☺☺☺☺ 

Related Posts :

Comments