Blogger Aur Wordpress ? Konsa Best Platform Blogging Ke Liye

Hello Dosto, Tech Hindi Gyan ke ek aur naye Article/Post me aap sabhi ka bahut bahut swagat hai. Article / Post Padhne ke baad, Agar aapka koi sawaal ya daut ho to Comment karke jaroor puche. Iske alawa Is Post ko sabhi ke saath Share kare, Aur Tech Hindi Gyan ko SUBSCRIBE / FOLLOWkare, Jisse ki hamare sabhi naye post ki Notification aapko lagatar milti rahe.

Blogger Aur Wordpress ? Konsa Best Platform Blogging Ke Liye

Aajkal har koi Website banakar paise kamana chahta hai. Aur ese me Blogging iska ek sabse behtar tarika hai. Blogging ke liye do platform sabse behtar hai, jisme se aap kisi ek ko chun sakte hai. 

Blogging ke baare me sabhi logo ko jyada jankari hai hoti hai, ese me jin logo ko blogging me jyada jankari nahi hai ya is shetra me abhi naye hai, to wo iska chunao nahi kar paate. Wese to Blogging ke liye bahut se Options hai, jaise - Wordpress, Blogger, Tumblr, Medium, Weebly, Etc. 

Lekin in sabhi me se Wordpress Aur Blogger hi best options hai. In dono options me se konse option ko select kare, ye decide karna thoda muskil hota hai.kyunki in done ke apne-apne phayde aur nuksaan hai. Chaliye jaante hai Blogger Aur Wordpress me kya anter hai. Taaki aap apne Blog ke liye ek accha aur sahi option chun sake.



1) Template
Template to aap sabhi jante honge. Agar ham Template ke mamle me baat kare, to Wordpress me Template change karna aur design karna Blogger se asan hai. Wahin Blogger me Template ka jyada option aapko ni milega. 

Lekin Aap Blogspot me Custom Template laga sakte hai. Agar aap HTML Coding me Mahir hai to aap Template kharid kar apne hisab se design kar sakte hai. Iske alawa bahut se websites hai jo free me templates deti hai, Aap unhe bhi istemaal kar sakte hai. Lekin Wordpress me aapko asani hoti hai, Templates change karne me, Design karne me.

    2) Security

    Jaisa ki aapko pata hoga ki Blogger Google ka product hai, yaani ki Blogger ko Google host karta hai. Aur Google ki Security ke baare me bhi aap jante honge. Agar aap Blogger me Blog banate hai to aapko Google ki Security ka phayda milega. 

    Koi bhi aapke Blog ko Hack nahi kar sakta. Aur aapke Blog par chahe jitni bhi Traffic aaye Google use asani se manage kar payega. Iske alawa Wordpress bhi bhut Secure hai. Lekin isme aapko Security ka pura dhyan dena hoga. Aur isme aapko bahut se plugins lagane padhte hai apne blog ko Hack hone se bachane ke liye.


    3) SEO (Search Engine Optimization)

    SEO ke mamle me Blogger ek accha option hai, Lekin Sahi option sayad nahi. Halanki, Blogger SEO ke mamle me pehle se kaafi behter ho gaya hai. Par abhi bhi Blogger ko Aur upgrade hona hoga SEO ke mamle me. Wordpress SEO Friendly hai. Aur Bahut saare Free Premium Plugins isme uplabdh hai.


      4) Controlling
      Blogger me har ek Blog ke saath ek simple sa manage system aata hai, jisse aap asani se apne blog ko manage kar sakte hai. Lekin agar aap apne hisab se kuch extra usme add nahi kar sakte hai. Blog me jitna option diya gaya hai aapko utne se hi kaam chalana padega. 

      Lekin Wordpress ek Open Source Software hai, jisme aap jo chahe wo apni marzi se modify kar sakte hai. Agar aap apne company ya personal website banana chahte hai to aap asani se Wordpress me bana sakte hai. 

      Iske alawa wordpress.org me bahut se plugins hote hai jise aap apne blog me istemaal karke apne blog ko ek naya look de sakte hai. Wordpess me aap plugins ko use karke bina coding kiye. apne blog me bahut sare changes kar sakte hai.


      5) Transfer

      Transfer ka ek accha option Blogger me diya gaya hai. Yaani ki aap apne Blogger Blog ko ki dusri platform me asani se transfer kar sakte hai. Blogger Export ki suvidha deta hai. Lekin Blog ko kisi dusri platform me transfer karne se aapka SEO kharab ho sakta hai. 


      Aapke blog ki ranking par effect par skata hai. jisse aapki visitors bhi kam ho sakte hai. Wordpress ko bhi dusri hosting platform me transfer karna jo to asani se kiya ja sakta hai. Transfer ka option Wordpress bhi uplabdh karta hai.


        6) Updates
        Updates ke mamle me Blogger bahut piche hai. Blogger me Naye Updates ya Naye Features bahut kam add kiye jaate hai. Jo ki ek tarah se Na ke barabar hai. Lekin Wordpress ek Open Source Software hai. Jiske karan ye kisi bhi company ke uper depend nahi hai. aur ye hamesha kuch na kuch naya update kiye karta hai. jisse naye feature bhi add hote rahte hai.

        7) Blogger Vs Wordpress
        Uper ke sabhi points padh kar saap samajh gaye honge ki konsa Blogging Platform aapke liye behter hai. Mere hisab se dono hi apne apne jagan sahi hai. Lekin Aapko ye decide karna hoga ki aapke liye konsa platform sahi hai. 

        Aapko bata de ki, duniya bhar me jyadatar log Blogger Aur Wordpress me se Wordpress ko chunna pasand karte hai. Aur Wordpress par nirbhar aur jyada pharosha karte hai.


        To Dosto, Ummeed karta hu ki Uper bataye gaye sabhi points aapko acche se samajh me aa gaye honge. Aur Blogger Aur Weodpress me se konsa chunna hai ye bhi decide kar payenge. Agar koi bhi sawaal ya daut ho to aap hame comment karke jaroor puche. 

        Iske alawa hame comment karke bataye ki aapko konsa platform behtar lag raha hai Blogger ? Ya Wordpress ? Iske alawa hamre sabhi post ki notification apne phone me lagatar paane ke liye abhi Tech Hindi Gyan ko Follow / SUBSCRIBE kijiye.

        Apna Kimti Samay Dene ke liye Aur Post padhne ke liye !!!

        Thanks / Dhanyaawaad ☺☺☺☺

        Related Posts :

        Comments