Blogger Blog Ke Sabhi Post Me - Ek Saath Adsense Ads Kaise Lagaye

Hello Dosto, Tech Hindi Gyan ke ek aur naye Article/Post me aap sabhi ka bahut bahut swagat hai. Article / Post Padhne ke baad, Agar aapka koi sawaal ya daut ho to Comment karke jaroor puche. Iske alawa Is Post ko sabhi ke saath Share kare, Aur Tech Hindi Gyan ko FOLLOW / SUBSCRIBE kare, Jisse ki hamare sabhi naye post ki Notification aapko lagatar milti rahe.

 
Blogger Blog Ke Sabhi Post Me - Ek Saath Adsense Ads Kaise Lagaye


Jitne Bhi Naye Website users hai, wo sabhi yahi sochte hai ki Adsense se ham jyada se jyada paise kama sake. Aur Naye Website users hi naye, balki sabhi website users aur bloggers bhi yahi chahte hai. Lekin Jyada paise kamane ke chakkar me kayi baar ham galtiyan kar baithte hai. Aur Adsense desable hone ka dar rehta hai. Ese me hame adsesne ke Ads ko bhi sahi jagah par lagana bahut jaroori hota hai. To Dosto, Aaj ham is post me jaanege ki Blogger Blog ke Sabhi Post, Old post se lekar new post tak, me Adsene ke ads kaise lagaye. Aapko sirf Ek hi Ad Code lagana hai. Aur aapne blog ke sabhi post me Ads show hone lagenge. Aapko bata de ki Har post me ads lagane se earning badh jaati hai. par har post me baar baar ads lagana bhi possible nai hota hai. Isliye aaj ham ek trick ka use karenge. Jisse hamare sabhi post me ads show hone lagenge.





Aapko bata de ki, Is trick se aapke har post ke Title ke niche Ads show karenge. Aur Jab koi visitor aapke post par visit karta hai to sabse pehle us visitor ko samne Post Title show hoga. Aur Title ke niche Ads show hone se sabhi visitors Ads ko asani se dekh payenge. Aur aapki Earnig ke chances aur jyada badh jayenge. Iske alawa jo ads aap sidebar aur footer me lagate hai un ads par click hone ke chances bahut kam hote hai. kyunki jyadatar visitors post padh kar back kar dete hai, aur niche nai jaate. Isliye me aapko bataunga ki Post ke title ke niche ads kaise lagaye. Aur wo bhi apne sabhi post me ek saath. To Chaliye Seekh lete hai.



Blogger Blog Ke Sabhi Post Me - Ek Saath Adsense Ads Kaise Lagaye



1) Sabse Pehle Apne Blog Ke Dashboard Par Jaye.


2) Ab Theme / Template par Click Kare.

3) Ab Edit HTML par Click Kare.

Blogger Blog Ke Sabhi Post Me - Ek Saath Adsense Ads Kaise Lagaye

4) Ab HTML Editor me kahin par bhi click karke CTRL+F Dabaye.

5) Ab Search Box me Likhe - <data:post.body/> aur search kare.



                                     

6) Ab Is Code ko Copy Kare. Uske baad "Adsense Ads Code Yahan Paste Kare" Ki jagah par apne adsense ad code ko paste kare.


7) Ab Copy Kiye huye code ko <data:post.body/> ke theek upar paste kare.



8) HTML Editor par <data:post.body/> code ek se jyada baar hote hai. To aap 3rd code ke upar apne ads code ko paste kijiyega.

9) Ab Upar Save botton par click kar dijiye.



To Dosto, Is tarah se aap asani se apne HTML par adsense ke ek code ko paste karke apne sabhi post par ads show kara sakte hai. Mujhe ummeed hai ki mere bataye gaye sabhi steps aapko acche se samajh me aa gayi hogi, Agar abhi abhi aapka koi sawaal ya daut ho to aap hame comment karke puch sakte hai. Iske alawa is post ko sabhi ke saath share kare. Aur Tech Hindi Gyan ko Follow / Subscribe jaroor kaare. Taaki hamare sabhi naye post ki notification aapke mobile par lagatar milti rahe.

 

Apna Kimti Samay Dene ke liye Aur Post padhne ke liye !!!


Thanks / Dhanyaawaad ☺☺☺☺ 



Related Posts :

Comments