Blog Post Ko Fast Index Kaise Kare | How To Index Blog Post Quickly

Hello Dosto, Agar aap ek naye Blogger hai, To jaroor aapke man me ek sawaal hogi, Ki hamare post search engine me Rank kyun nahi karte, Aur kaise ham apne posts ko search engine me jaldi index karaye. To aaj is post ko padhne ke baad aapki ye sikayat door ho jayegi. Mujhe ummeed hai ki aapko aapke sawaal ka jawaab poori tarah se mil jayegi, Is post ko padhne ke baad.

Blog Post Ko Fast Index Kaise Kare | How To Index Blog Post Quickly

Jaisa ki Ham sab jante hai ki google kisi ke bhi blog post ko tab tak rank ya index nahi karta jab tak uske blog par acchi traffic nahi aata hai. Iske alawa agar aapke blog par thodi bahut traffic aa bhi rahi hai, To bhi Google aapke post ko Index karne me 2 se 3 din lagata hai. Lekin agar aap manually apne post ko google search engine me submit karte hai to aap apne post ko jaldi index kara sakte hai. Aur post ko google search me top par laa sakte hai.




Google Search Engine Me Post Ko Fast Index Kaise Karaye

Google aapke post ko Automatic search result me show karta hai, Lekin isme kaafi samay lag jata hai. Aapke blog ki traffic, post title, content, par depend karta hai ki google kitne samay me aapke post ko index karge. Lekin ek simple process hai, Jiski help se aap apne post ko google search engine me jaldi rank kara sakte hai. Search Result me post ko fast index karwana, koi badi baat nahi hai, uske liye aapko bas apne post ke link ko Console me submit karna hota hai. Lekin isse pehle aapko apne Blog ko Google search engine me submit karna hoga. aur uske baad apne blog ke sitemap ko bhi submit karna hai. → Google Search Console Me Sitemap Kaise Submit Kare.



Itna Karne ke baad aap apne post ko google search engine me jaldi rank ya index karwa sakte hai. Uske liye apne post ko aap google search console me submit karenge. Is post me main aapko step by step pura process bataunga, Ki Kaise aap apne post ko google search engine me jaldi rank kara sakte hai.


 1) Sabse Pehle Google Search Console me Login Kare.

 2) Uske baad apne website property par click kar, Open karle.

open-google-search-console-and-click-your-website-property

 3) Ab aapke saamne Dashboad Open ho jayega, Left side me Crawl par click kare.

 4) Ab Fetch As Google par click kare.

click on crawl and select fetch as google


 5)  Ab aapko samne aapke blog ka URL dikh raha hoga. yahan par aapko apne blog post ke Link ko add karna hai.



 6) Blog URL pehle se diya hoga. Isme aapko sirf Post ka  URL daalna hai, Blog URL ke aage / ke baad jo link hota hai use daalna hai.

 7) Uske baad Desktop option ko select kare.

 8) Ab Fetch par click kare.

enter-your-blog-post-URL-and-click-ok-Fetch

 9) Ab aapke post ka link list me add ho jayega. ab ise aapko submit karana hai.

10) Iske liye niche Request Indexing par click karna hai.

click-ok-request-indexing


11) Ab aapke saamne ek Popup Window open hoga.

12) Isme aapko I'm not a Robot par click karna hai.

13) Uske baad Crawl Only This URL par select kare.

14) Ab Go Button par click karde.

tick on i'm not a robot and select crawl only this URL and click og button


Ab aapka Post Google me Index ho jayega. Index hone me 15 se 20 minute ka time lag sakta hai, Kyunki pehle google aapke post ko review karega. Uske baad turant aapka post google ke top search result me show hone lagega. To isliye aapko thoda wait kar lijiye. Aap is tarah se 1 mahine me 500 post ko fast index karwa sakte hai. Aur ye tarika post ko fast index karane ke liye bahut hi accha hai.




To Dosto, Ummeed karta hu ki aapko is post me bataye gaye sabhi steps acche se samajh me aa gaye honge. Agar aapka koi bhi sawaal ya daut ho to aap hame comment karke jaroor bataye, Ham aapki har darah se help karenge. Iske alawa Tech Hindi Gyan ko Follow kare, Jisse ki hamare sabhi naye post ki notifications aapko milti rahe.




Apna Kimti Samay Dene Aur Post Padhne Ke Liye
Thanks / Dhanyaawaad  ☺☺☺☺




Related Post :


    Comments