Hello Dosto, Blogger, Google ki ek Free Blogging Platform Hai. Agar aap Blogging karna chahte hai to Google ki is platform se free me kar sakte ho. Bahut se log Blogspot se Blogging kar rahe hai. Ye ek bahut hi secure platform hai. kyunki ye google ka product hi isliye accha, best, secure, and free hai. Aur aap yahan se blogging karke paise bhi kama sakte hai. Lekin paise kamane ke liye sabse jaroori cheej hai, Views, Traffic, Indexing, Ranking, Comments, Etc. Yaani ki paise earn karne ke liye aapko jyada traffic chahiye. Aur jyada traffice paane ke liye accha SEO karna bahut jaroori hai.
Jyadatar log apne blogging career ko Blogspot se hi start karte hai. Aur uske baad success mil jaane par Wordpress me migrate kar dete hai. Ese wo isliye karte hai kyunki Blogspot ke tulna me Wordpress par bahut se premium templates, Plugins, SEO Tools mil jaate hai. Blopspot me SEO tools nahi hai. Lekin iska matlab ye nahi ki aap apne blog ko SEO friendly nahi bana sakte. Aaj main aapko is post me SEO ki special Tips dunga jo 2018 me aapke bahut kaam aane waali hai. Apne Blog ko SEO friendly banane ke liye , mere bataye gaye sabhi steps ko follow kare. 100% aapka Blog SEO Friendly ho jayega. Aur Search engine me index hone lagega.
Blog Ki Best SEO Tips 2018
SEO ka matlab hota hai Search Engine Optimization. Yaani ki Aapki Blog Search Engine me Index karana. SEO Factors me aate hai Blog ya Website ki Quality, Content, Keywords, On Page and Off Page SEO and Ranking. Is post me main aapko SEO ki best tips and tricks bataunga. Jinse aap apne blog ko SEO Friendly aur Search Engine Friendly bana sakte hai.
- Top 10 Killer Tips For Growth On Blogger | Best Blogger SEO 2018 | Hindi
- Apne Blogger Blog Ko SEO Friendly Kaise Banaye | 10 Killer Tips
1) Page Speed
Page Speed bahut matter karti hai SEO ke liye. Agar aapka blog open hone me samay leti hai ya aapke blog me load jyada hai to search engine me aapki blog kabhi rank nahi karegi. Blog ko SEO friendly banane ke liye blog ke page, post ko optimize kare. Blog me jydad load mat de. yaani ki blog me fizul ki cheeje add mat kare. sitebar me useless widget mat lagaye. jyada images use mat kare. Google aur Other Search Engine bhi sabhi Bloggers ko Recommend karti hai ki wo apne blog ya website ka design simple and saaf sutra rakhe jisse ki wo fast load ho.
2) Use Custom Permalink
Aapko bata de ki kisi bhi blog post ki search ranking ke liye post ka URL ya Permalink ki bahut badi bhoomika hoti hai. Permalink kya hota hai? jab aap blog me koi post likhte hai to us post ka ek URL create karna hota hai. Use hi Permalink kehte hai. Blogspot me Permalink ke liye do option diye jaate hai.
- Website Mobile Friendly Hai Ya Nahi | Kaise Test Kare ?
- Broken Link Kya Hai ? Broken Link Kaise Check Kare ?
- Blog Post Ko Fast Index Kaise Kare | How To Index Blog Post Quickly
i) Automatic Permalink : Automatic Permalink aapke post ke Title ke hisab se automatic URL generate kar deta hai.
ii) Custom Permalink : Custom Permalink me aapko apne post ki URL ko khud hi create karna hota hia. Aur post ko SEO friendly banane ke liye aapko hamesha custom permalink hi use karna hai. Isme aap apne post ke Title se important Keywords use kare. Aur negative words bilkul bhi use mat kare jaise :- is, in, the, on, etc.
3) Maintain Keyword Density
Bahut se log sochte hai ki Keywords to hamare blog post ko SEO friendly banati hai. Isliye jyada se jyada keywords use karte hai. Lekin ye galat hai. Keywords hamare post ko SEO friendly banati hai. Lekin iska matlab ye nahi ki aap apne post me sirf keywords hi keywords bhar de. Ek Better ranking ke liye aapke post ke keyword ke density bhi ek bahut important factor hai. Bahut jyada keywords use karne se aapko Stuffing ki problem face karni padh sakti hai. Aur kam keywords use karne se aapki post ki ranking kam ho jaati hai. Isliye aap hamesha apni post me Keywords ki Density 3% se 5% tak hi rakhe. Aur Keywords ko Suitable Locations par add kare jaise :- Title, First Paragraph, Last Paragraph, Meta Tag Description, Permalink, Image Attribution.
- Website/Blog Ke Liye Sitemap Kaise Banaye | How To Create Sitemap
- Custom Ads.Txt Kya Hai | Blogger Me Kaise Add Kaise | Adsense Me Ads.Txt Error Kaise Fix Kare
4) Use Post Labels
Label bhi Blog Post ki SEO ke liye important hoti hai. Lebel ka matlab hota hai Categories ya Tags. Jab aap apne blog me koi post likhte hai to wahan par aapko Label select karna hota hai. Post ko Filter ya Arrange karne ke liye use kiya jata hai. Label add karne se Google ko aur aapke visitors ko post find karne me asaani hoti hai. Search engine aapke post ko jaldi samjhta hai aur Rank karta hai. Isliye hamesha Post likhte samay Labels jaroor add kare.
- Blog Ya Website Me YouTube Subscribe Botton Kaise Add Kare | How To Add YouTube Subscribe Botton On Blog
- Google Search Console Me Sitemap Submit Kaise Kare | How To Submit Sitemap To Google Webmaster Tools
5) Image Optimization
Blog ko Search Engine Optimization Friendly Banane ke liye Image Optimization bhi bahut jaroori hota hai. Jab bhi aapko apne blog ke liye koi post likhe to usme ek image jaroor lagaye. Image lagana jitna jaroori hai. Usse bhi jyada jaroori hai Image ko Optimize karna. Jab bhi Image lagaye. To pehle us image ko Optimize jaroor kare. Image ki size kam rakhe. Aur Image me Attribution Tag jaroor add kare. Jis tarah se POst ko Search engine me laane ke liye ham keywords daalte hai thik waise hi Imge ko search engine me rank karane ke liye Attribution Tag lagana hota hai. Uske liye Image Upload ho jane ke baad Image par click kare. Ab Property par jaaye. Aur uske baad Alt Tag Add karde. Aur ek bahut important baat. Jo Image aap Upload karenge, Use pehle Rename jaroor kare. Image me Topic ke hisab se name daale aur uske baad hi Upload kare.
To Dosto, Ye the #5 Ese points jiski madad se aap apne blog ko SEO Friendly bana sakte hai. Agar aap in sabhi points ko Follow karte hai to 100% aapki Blog SEO Friendly ban jayegi. Ummeed karta hu ki mere bataye gaye sabhi steps aapko samjh me aa gaye honge. Agar aapka koi sawaal ya Daut hai to aap hame Comment karke Jaroor puche, Ham aapke comment ka Reply jaroor karenge. Iske alawa Tech Hindi Gyan ko Follow kare. Jisse aapko hamare sabhi naye post ki notifications lagatar milti rahe.
Comments
Post a Comment