Blog Ya Website Ki Loading Speed Kaise Badhaye | How To Increase Loading Speed Of Blogs And Websites

Hello Dosto, Agar aap ek Blogger hai. Aapke paas koi blog ya website hai to jaroori hai ki aapki blog ki loading speed acchi ho. Loading Speed Website ki Ranking ke liye bahut important hota hai. Isliye jaroori hai ki aapki Blog ya Website ki Loading Speed acchi aur fast ho. Agar aapki blog ki Loading Speed slow ya bad hai to isse aapki website ki ranking par bura asar padh sakta hai. Isliye main aaj aapko is post me Blog ya Website ki Loading Speed badhane ke baare me Tips dunga. Jise aap follow karke asani se apne blog ya website ki loading speed increase kar sakte hai.


Blog Ya Website Ki Loading Speed Kaise Badhaye | How To Increase Loading Speed Of Blogs And Websites


Google Search Engine Blog ya website ko rank karne se pehle uski loading speed ko jaroor test karta hai. Aur agar loading speed acchi hai tabhi google us blog ya website ko rank karta hai. Isliye hame apne blog ki loading time ko reduce karna bahut jaroori hota hai. jisse ki hamari blog fast rank kare. Iske alawa agar aapka blog load hone me time leta hai to koi bhi visitor aapke blog me aana pasand nahi karega. Aap khud ka hi example le sakte ho. Agar kabhi aap kisi blog kya website ko open karte ho, Aur wo website open hone me time leta hai to aap us website ko close kar dete ho aur dobara us website ko ignore karte ho. To isliye hame bhi apne blog ki loading speed ast karni hoti hai jisse ki koi bhi visitor hamare blog ko ignore na kare.





Iske alawa ek research me experts ne clear kiya hai ki 47% Visitors ese sites ko pasand karte hai jo 3 Second ke ander load ho kar open ho jaye. Aur agar loading time 3 Second se jyada leti hai to 40% Visitors us website ko Close kar dete hai. To hame apne sabhi visitors ko dhyan me rakhna hai. Aur kisi bhi visitors ko mayus ya udaas nahi karna hai. Kyunki hamare liye Visitors hamare Sab kuch hai. Isliye main aapko is post me Best Top Tips bataunga. Jisse aap apne blog ki loading time ko reduce kar sakte hai. Jisse ke baad aapki blog fast load hogi.




Website Ki Loading Speed Kaise Increase Kare


1) Use Responsive Templates

Aapke Blog ya Website ki Template ka Responsive hona bahut jaroori hai. Kyunki ispar aapke blog ki loading speed depend karti hai. Aap esi Template use kare jo sbhi devices me compatible ho. Agar aap thoda invest kar sakte hai to Premium Template use kare. Bahut jyada costly nahi hota hai premium templates. Aur aapko ek baar hi Payment karna hai. Uske baad Aap us Template ko kayi blog me use kar sakte hai. Agar aap invest nahi karna chahte ho bhi koi baat nahi. Free me bhi aapko responsive Templates mil jayenge. Aap unhe bhi apne blog ke liye use kar sakte hai.




2) Optimize And Compress Your Code

Ham sabhi ko pata hai ki kisi bhi blog ya website ko banane ke liye Coding karna jaroori hota hai. Without Coding koi bhi Blog ya website banana Impossible hai. Website me koi bhi work karne ke liye coding jaroori hai. Header, Sidebar, Footer, Design, sabhi cheej ke liye coding must hai. Lekin kya aapko pata hai ki coding ki size jyada ho jane se blog ya website ki loding speed par effect padhta hai. Isliye hame apne blog ki coding ke size check karna chahiye. Aur use optimize karna chahiye. Jab ham external widgets, Plugin, aur Coding apne blog me add karte hai to isse hamare blog ki speed slow ho jaati hai.


Isliye main aapko ek advice dena chahunga Ki, aap koi bhi external code ko apne blog me add karne se pehle uuse optimize jaroor karle. Jis tarah se image optimize kiya jata hai thik waise hi code ko optimize karna jaroori haota hai. Custom Code ko aap pehle optimize kare uske baad blog me add kare. isse aapke blog ki speed par koi bad effect nahi padega aur blog fast load hoga. Code ko compress karne ke liye main aako kuch tools bata raha hu. Aap in tools ki madad se apne custom codes ko compress kar sakte hai.


 i) CSSCompressor 

ii) CSSMinifier

iii) HTMLMinifier





3) Don't Use Too Many Widget

Bahut jyada widget use karne se bhi aapke blog ki loading speed slow ha jaati hai. Isliye Widget kam hi use kare. Un widget ko use kare jinki aapko jaroorat hai. Bekar ki widget apne blog me bilkul na lagaye. ese widget jo bekar ya useless hai, jinki aapko kabhi jaroorat nahi hai, unhe aap apne blog se remove kar dijiye. Iske alawa jab ham koi custom template install karte hai to uske sath bahut se widget aate hai jinki hame koi jaroorat nahi hoti hai. Unhe aap remove kar dijiye. Kyunki isse aapke blog ki loading speed bahut slow ho jaati hai. Isliye hame unhe remove karna jaroori hota hai. Iske alawa agar aapke blog ya website ki speed Computer ya Laptop par acchi hai to iska ye matlab nahi ki mobile par bhi acchi ho. Aur ham sabhi ko pata hai ki hamare blog ki 70% visitors mobile se hi aate hai. Isliye hame apne blog ko mobile friendly bana jaroori hai. To bekar ke widgets ko bilkul bhi use mat kare. Unhe turant remove kar de.





4) Optimize Image

Image Optimization ka matlab to aap sabhi jante hi honge. Image ki Size ko Reduce karne ko hi, Image Optimize kehte hai. Image ki size jyada hone se blog me load bhi jyada padhta hai. Isliye hame hamesha Image ko Optimize karke hi Upload karna chahiye. Kisi bhi image ko upload karne se pehle Edit karna jaroori hota hai, Lekin edit karne ke baad image ki size badh jaati hai, Isliye hame image ko edit karne ke sath sath compress kar jaroori hota hai. Lekin image ko optimize karte samay aapko dhyan dena hai ki image ki quality low na ho. Kyunki Optimize karne se image ki quality bhi low ho jaati hai. Isliye image optimize karte waqt dhyan de ki uski quality low na ho. Aapko internet par ese bahut se tools mil jayenge jinki madad se aap Image ko Compress kar sakte hai without loosing Quality.


  i) Image Optimizer

 ii) Optimizilla

iii) JpegOptimizer

iv) TinyPng




5) Don't Use Too Many Ads

Bahut se Bloggers ese hai jo sirf Paise kamane ke uddesh se Blogging karte hai, Aur bahut se ads lagate hai. Lekin main aapko bata dun ki, agar aap bhi paise kamane ke uddesh se blogging start kiye hai to abhi bloging chodh dijiye. Kyunki ese me aap kabhi bhi blog me success nahi hasil kar sakte. Paise kamane ka best way to Blogging hi hai. Lekin aapko pehli priority apne visitors ko dena hai aur best content likhna hai. Isliye main aapko recommend karunga ki apne blog me jyada ads mat show karaye. Isse aapke visitors ko problem hogi. Agar aapke blog me AdSense Approved hai aur aap bahut jyada ads show karate hai to bahut jald aapki AdSense Account disable ho sakti hai. Isliye esi galti bilkul bhi na kare. Jyada paise kamane ke  lalach me aap apne visitors ko kho sakte hai.



6) Don't Show Too Many Post On Blog's Home Page

Agar aap apne Blog ya Website ko Faster banana chahte hai to aapko har chote bade steps ko follow karna hoga. Tabhi aap apne blog ko faster bana payenge. Unhi me se ek step hai Blog ki Home Page. Akshar naye bloggers apne blog ki home page me bahut se post show karate hai. kayi bloggers apne blog ke home page me 12 se 15 post bhi show karate hai. esa karna galata hai dosto. isse aapke blog ki speed kam ho jayegi. Home Page par jyada post show karne se aapki site bahut slow ho sakti hai. Isliye Main apko Recommend karunga ki aap apne blog par 5 past show kare. Iske alawa aap 7 post bhi show kara sakte hai. Lekin 7 se jyada post mat show karaiye. 5 se 7 post home page me show karane se aapke blog ki speed par koi bhi bad effect nahi padega.






7) Website Speed Test

Agar aapka Blog ya Website Open hone me time leta hai to aap apne blog ki speed test kar sakte hai. Blog ki Speed test karne se aapko ye bhi pata chalega ki aapke blog ko speed slow kyun hai. Aur kya error aa rahi hai. Iske alawa un errors ko fix karne ki tips bhi wahin se mil jaayegi. To isliye apne blog ki speed ko test karna jaroori hai. Blog ya Website ki Speed ko Test karne ke liye aapko Internet par bahut se Tools mil jayenge. Jinki help se aap apne blog ki speed test kar sakte hai. Main aapko ek Tool Suggest karta hu. Aap is tool ki madad se apne blog ki speed ko asaani se test kar sakte hai. Aur usme aa rahe error ko fix bhi kar sakte hai. "Google Page Speed Insights" - Ye tool Google ka hai. Isliye trustable bhi hai.



To Dosto, Ye the Blog ki Speed ko Increase karne ki Top Best Tips And Tricks. Mujhe ummeed hai ki ye post aapko pasand ayegi hogi, Aur mere bataye gaye sabhi steps samajh me aaye honge. Agar aapka koi bhi sawaal ya Daut ho to aap hame comment karke puch sakte hai. Ham aapke comment kar reply jaroor karenge. Iske alawa Tech Hindi Gyan ko FOLLOW kare, Jisse ki hamare sabhi naye post ki notifiactions aapko lagatar milti rahe.




Apna Kimti Samay Dene Aur Post Padhne Ke Liye
Thanks / Dhanyaawaad  ☺☺☺☺




Related Posts :


Comments