Blogger Blog Ki Theme (Template) Kaise Change Kare | How To Change Blogger Templates (Theme)

Hello Dosto, Blog to har koi bana sakta hai, Lekin Blog ko manage kar pana sabse badi challenge hoti hai. Bahut se naye bloggers, Blog me bahut mehnat karte hai. Aur Article likhte hai. Lekin traffice nahi mil paati. aur wo sochte hai ki Succuss nahi ho payenge is field me, Lekin esa nahi hai. ek na ek din unhe success jaroor milegi. Blogging me Success chahiye to hame Patience rakhna bahut jaroori hai. Aur agar hame traffic nahi mil  rahi hai, To ham jaroor kahin galti kar rahe hai. Ham choti choti galtiyan karte hai aur unpar hamare dhyan nahi jata. Jaise SEO friendly post nahi likhna. ya blog ki template responsive nahi hona, ya ese bahut se chote chote galtiyan kar dete hai. 


Blogger Blog Ki Theme (Template) Kaise Change Kare | How To Change Blogger Templates (Theme)


Aapko bata de ki, kisi bhi blog ke liye SEO jitna important hota hai utna hi Template bhi important hai. Responsive Template chunna, SEO Friendly Template hona, Mobile Friendly Tempalte hona, aur bhi is tarah ke kayi points hai Templates se related jise hame dhyan me rakhna chahiye. Isliye main aapko aaj is post me bataunga ki Blogger Blog me ham Custom Templates ko kaise Upload karte hai. Agar aap bhi ek naye Blogger hai Aur aapka blog BlogSpot me hai. To is post ko poora padhiye, Kyunki ye post aaki help kar sakti hai. Is post me main bataunga - Template kaise change kare, Template ka backup kaise le. Template kaise upload kare.





Template Kyun Change Kare

Agar aapko apne blog me jyada traffic chahiye to aapko apne blog ki Template ko change karna hoga. Kyunki jab aap Blogspot me blog banate hai to blogger ka default template use karte ho. Aur default template me koi widget accha nahi hota, Na hi usme header ya footer hoga. Aur Home page bhi kuch khas nahi hoga. Aur aapko apne visitors ko ek acche design ke sath apne blog ko dikhana hai. Isliye blog ke template ko change karna jaroori hota hai. apne blog ko SEO friendly banane ke liye bhi template ko change karna jaroori hai. Au aap jo custom template use karenge usme bahut se extra features milenge. Jaise ki Header, Social Share Button, Subsribe Widget, Stylish Navigation ,Sidbar aur footer. Isse visitors ko aapka blog jyada pasand ayega.




Website ki design and template esa hona chahiye, Jisse ki aapki blog bilkul saaf sutra dikhe. Home page bilkul clean ho, Background ko koi image nahi honi chaiye. Sidebar me bekar aur useless widget nahi honi chahiye. Aur SEO friendly to jaroor honi chahiye. Blog me jyada load nahi honi chahiye, Isliye esa template choose kare jo turant load ho jaye. Loading me jyada samay na le. Aur Mobile friendly bhi honi jaroori hai. To Isliye aapko Custom Templates ko use karna jaroori hai.





Blog Ka Backup Kaise Banaye

Blog ka Backup lena jaroori hota hai. Kyunki maan lijiye aap apne blog ki template change kar rahe hai. Aur usi samay Internet Disconnect ho jaye, Ya Koi error aa jaye. To aapki nahi template install nahi hogi, Aur Purani template khaab ho jayegi. Isse aapki blog ka design kharab ho jayega. Aur data bhi lost ko sakta hai. Isliye Nayi template upload karne se pehle Blog ka Backup jaroor le le. Blog ka Backup lena bahut easy hai, Uske liye kuch steps hote hai, Joki niche diye gaye hai. Aap unhe follow karke asani se apne blog ka backup le sakte hai.




1) Sabse Pehle apne blog ke dashboad me jaaye.

2) Template / Theme par click kare.

3) Top Right me Bckup / Restore par click kare.

4) Download Theme par click kare.





Blog Ki Template Kaise Change Kare

Yahan Tak padh kar aap samjh gaye honge ki Hamare liye apne Blog ki Template ko change karna kitna jaroori hai. Blog me custom template use karne se hame jyada traffic milta hai. Lekin template Responsive aur SEO friendly hona chahiye. To chaliye ham sikh lete hai ki ham apne blog me Template kaise change karenge ya kaise upload karenge. Iske liye niche diye gaye steps ko follow kare.


1) Sabse se aap apne computer me us Template ko save ya download  kar le jise aap apne blog me upload karna chahte hai.

2) Ab apne blog ke Dashboad me jaye.

3) Ab Template / Theme me jaye.

4) Backup / Restore par click kare.

5) Pehle Backup ke liye Download Theme par click kare.

6) Uske baad "Choose File" par click kare.

7) Ab apne system par search kar ke XML file ko selete kare.

8) Uske baad Upload par click kar de.





To Doto, Is tarah se aap apne blog me custom template upload kar sakte hai. Aur Backup bhi le sakte hai. Ummeed karta hu ki aapko ye post pasand ayi hogi. Aur mere bataye gaye sabhi steps samajh me aaye gone. Agar aapka koi sawaal ya daut hai to aap hame comment karke puch sakte hai. Iske alawa Is post ko share kare aur Tech Hindi Gyan ko Follow kare. Jisse ki aapko hamare sabi naye posts ki notifications lagatar milti rahe.




Apns Kimti Samay Dene Aur Post Padhne Ke Liye
Thanks / Dhanyaawaad  ☺☺☺☺




Related Posts :


Comments