Skip to main content
Blogger Blog Me Custom Domain Kaise Add Kare | How To Add GoDaddy Custom Domain On Blogger Blog
Hello Dosto, Jab ham Blogger par nayya blog banate hai to us samay ham blogger ka subdomain yaani blogspot.com use karte hai. Lekin agar blog ko jaldi grow karna hai to hame apna khudka Domain purchase karna hota hai.
Aur Wese bhi sabhi bloggers apne blog ko professional banana chahenge. Custom Domain apne blog me add karna bahut jaroori hota hai. Custom Domain Blog me add karne se blog ki ranking jaldi badhti hai, Aur SEO, Branding, Adsense, Etc par effect padhta hai.
Jab aap nayi blog banate hai to us samay aap blogger ka subdomain chunte hai. Blogger ka subdomain aapko is tarah se milega - [www.YourBlogName.blogspot.com] ye bilkul free hota hai. Lekin isme blogger ka watermark hota hai. Aur subdomain se visiters ham par trust nahi karte hai.
Isliye hame apna khud ka Domain Purchase karna chahiye. Aur Blogger par Custom Doamin Add karne ka option bhi Available hai. To chaliye aaj ham shikhte hai ki Blogger Blog par Custom Domain Kaise Add karte hai.
Blogger Blog par Custom Domain Add karne ke liye sabse pehle aapko ek Domain Purchase karna hai. Domain aap kahin se bhi buy kar sakte hai. Internet par aapko bahut se options mil jayenge jaise ki - Godaddy.com, BigRock, Hostgator, Bluehost, Etc. Inme se sabse sasta aur best hai GoDaddy. To aap GoDaddy se Doamin Buy kar sakte hai.
Setup Custom Domain On Blogger
To Sabse pehle aap ek Domain Purchase kar lijiye. Man Lijiye ki aapne GoDaddy se Domain Buy kiya hai. Ab hame is domain ko apne blogger blog me add karna hai. To iske liye hame apne blog me Login karna hai aur Dashboad me jana hai. Uske baad niche diye gaye steps ko follow kare :
1) Blogger >> Login >> Dashboard.
2) Settings >> Basic.
3) Ab Blog Address par "Set Up a third party URL from your blog" par click karna hai.
4) Ab aapko apna kharida hua Domain Name www ke sath likhna hai. Example ke liye - [www.TechHindiGyan.com] is tarah se aapko apna doamin name enter karna hai. Aur uske baad Save par click kar dena hai.
5) Save par click karte hi aapke saamne ek Error message aayega. Aur niche do CNAMEs show honge. Ye Dono CNAMEs aapko GoDaddy ke DNS Server par daalna hai.
6) Ab aage ke process ke liye aapko GoDaddy ke Website me jana hai. Aur Login hona hai.
7) Login / Sign In hone ke baad aapko DNS par click karna hai.
8) Ab aapke samne Godaddy ke DNS Server ka Record open ho jayega. Yahan par aapko wo dono CNAMEs add karne hai. Aur sath hi Google ke chaar (4) I.P. Address bhi add karne hai.
9) Ab Add ke option par click karenge.
10) Type me CNAMEs Choose karenge >> Aur wo dono CNAMEs jo aapko blogger me mile the use yahan add karenge.
11) Dono CNAMEs Add karne ke baad ab aapko 4 A record add karne hai. Matlab ye ki 4 Google ke I.P. Address add karne hai.
12) Jisme aapko Type me A >> Name me @ >> aur value me ye 4 IP Address one by one add karne hai.
i) 216.239.32.21
ii) 216.239.34.21
iii) 216.239.36.21
iv) 216.239.38.21
13) Sabhi Records add karne ke baad kuch is tarah dikhega ↓↓↓↓↓↓
Note : Ek baat ka khyaal rakhe ki GoDaddy ke by default DNS record ko jaise hai waise hi rehne de. Unke saath koi cher chaar mat kare.
Ab Dosto Aapka Custom Domain add ho gaya hai. Bas aapko Active hone ka wait karna hoga. Jaise hi Active ho jata hai waise hi aapko ek last step karna hoga.
Blogger par jaha error aa rahi thi wahi par Active ho jaane ke baad error hat jayega aur naya option dikhega Redirect ka. Aapko Redirect ko tick kar dena hai. Jisse bina www lagaye bhi aapki blog open ho jayegi.
Ab aapne saara process complete kar di hai. Aapke records turant bhi update ho sakti hai ya phir maximum 48 hours bhi le sakti hai. Uske baad Aapke blog par aapka custom domain active ho jayega.
Jaise hi sabhi records update ho jayenge waise hi aapke blogger blog par jo error aa rahi thi wo bhi hat jayegi. Aapko bas Refresh karna hai aur Save ke button par click karna hai. Custom Domain Active ho jane ke baad kuch esa dikhega.
To Dosto, Ye the Blogger Blog par Custom Domain Name Add karna ka pura process. Bahut jayada hard process nahi nahi. Sahi se samjhe to easy lagega. Mujhe ummeed hai ki aapko ye post pasand ayi hogi aur mere bataye gaye sabhi steps samjh me aa gaye honge.
Post pasand aayi ho to please is post ko aage bhi share kare. Iske alawa agar aapka koi sawaal ya daut hai to aap hame comment karke puch sakte hai.Aur Tech Hindi Gyan ko abhi tak Follow nahi kiye hai to abhi Follow kar lijiye. Jisse ki hamari sabhi naye post ki jaankari aapko milti rahe.
Apna Kimti Samay Dene Aur Post Padhne Ke Liye
Thanks / Dhanyaawaad ☺☺☺☺
Related Posts :
Comments
Post a Comment