Mobile Ko Jyada Secure Kaise Banaye | Jaane Ye 6 Asaan Tips

Hello Dosto, Agar aapke paas smartphone hai, aur Android hai to ye post aapko jaroor padhni chahiye. Computer ki tarah hi smartphones me bhi security ko lekar bahut se pareshaniyaan aati hai. Viruses, Computer ke sath sath Smartphones me bhi attack kar sakte hai. 

Android Smartphone ke mukable Apple iPhone iOS ko jayada secure mana jata hai. Lekin har smartphone me ye khatra to hota hi hai. Pichle saal ek report ke anusar Android Platform par 30% se jyada Rensomware paye gaye. Aur sath hi 10 Million Apps ko Suspicious ki category me dala gaya.

Mobile Ko Jyada Secure Kaise Banaye | Jaane Ye 6 Asaan Tips

Ab agar Mobile me Viruses ke chance badh rahe hai. Aur Mobile Malware bhi badh rahe hai. To Users ko apne phone ke security ke liye jyada dhyan dena hoga. Aur unhe ye sunichchit karna hoga ki unki mobile secure hai ya nahi. 

To dosto, Main aaj aapko is post me 6 ese tarikon ke baare me batane ja raha hu, jisse aap apne mobile ko Secure kar ke rakh sakte hai. Aur Virus ya Malware se bacha sakte hai. To aapko apne mobile ko Virus ya malware se bachane ke liye niche diye gaye steps ko follow karna hoga.


6 Easy Tips For Secure Your Mobile

1) Update Operating System

Aaj kal jyadatar Android Users apne smartphone ko Update nahi karte. Ye ek bahut badi galti hai jo lagbhag sabhi karte hai. Aapko bata de ki February 2018 tak kewal 28.5% hi Android Naugat 7 ka Market share tha. Jabki Apple iOS Users  ke mamle me isa nahi hai. 

iOS ke latest version 11.2 ka market share 70% hai. To yahan par Android users ko bhi update hona hoga. Agar aap apne phone ko update nahi karte hai to isse aapki phone asaani se virus ke chapet me aa sakta hai. Aur kayi baar users ko naye Update nahi pilte. 

Esi isthiti me aap customer care center jaye. aur iska kuch solution dhunde. ya handset badalne ki yojna banaye. aur agar naya smartphone kharid rahe hai to esa phone le jisme updates milti ho.


2) Lock Your Smartphone

Phone ko Lock karna bahut asan hai lekin bahut se log apne phone me normal swipe lock rakhte hai. Lekin phone ko Lock kar ke rakhna bahut jaroori hai. Isse na kewal aapke phone Virus ke chapet se bachti balki dusre logon se bhi bachati hai. 

Hota ye hai ki agar aap apne phone ko lock nahi karte hai to koi bhi aapke phone ko access kar sakta hai. Aur jaroori data ke sath cher chaar kar sakta hai. Kuch saalo pehle lock karna thoda lamba process lagta tha, Lekin ap ise asaan bana diya gaya hai. 

Ab aap Fingerprint aur Face Unloack jaise feature ki madad se apne phone ko asaani se lock unlock kar sakte hai. Aur sath hi phone ko Restart karne par bhi Pin code jaroor daal ke rakhe.


3) Don't Buy Unsecured Brand

Ese Phones bilkul na kharide jinki brand surakhshit na ho. Matlab ye ki ese phone kharide jin par samay samay par update milte rahe. Kuch brand hai jo ki samay samay par updates ke liye mashoor hai jaise ki Google Pixel, Apple iPhone, Nokia, Etc. 

Budget Smartphones me bhi kayi option available hai. Iske alawa kuch esi companiyan bhi hai jinhe data security ke mamle me sahi nahi mana jata. Ese brands ke smartphone lene se bache.


4) Encryption

Encryption bhi phone ko secure karne me aham role ada karti hai. Apne Phone ke Storage ko Encrypt karke rakhe. Aapke phone me E-Mail, Contacts, Financial Apps, Etc. jaisi jaroori data hoti hai. 

Agar aapka phone kho jaye ya chori ho jaye to aap nahi chahenge ki aapki jaroori jankari kisi galat haath me pade. Isliye apne phone ki storage ko encrypt karke rakhe. Isse agar kisi aur ke hath me aapka phone jata bhi hai to aapka data bilkul secure rahega.


5) Scan Your Smartphone

Aap sabhi ko pata hoga ki aajkal samrtphone me asaani se Virus aa jate hai. Isse bachne ke liye samay samay par apne phone ko Scan karte rahe. Kayi baar Google Play Store me bhi virus aya hai. Isse bachne ke liye Application dwonload karne se pehle scan karle. Aur hamesha applications google play store se hi download kare. Kisi other source se mat kare.


6) Don't Root And JailBreak Your Phone

Akhshar Users apne phone ko Root aur Jailbreak karte hai. iPhone users apne phone ko jailbreak karte hai aur Android users apne phone ko Root karte hai. Esa karne se Phone ki security khatam ho jaati hai. aur updates bhi nahi milti hai. Isliye esa bilkul mat kare.


To Dosto, Ye the 6 asaan tips jisko follow karke aap apne smartphone ko secure kar sakte hai. Mujhe ummeed hai ki aapko ye post pasand ayi hogi. Aur mere bataye gaye sabhi steps samjh gaye honge. 

Agar aapka koi bhi sawaal ya daut hai to aap hame comment karke jaroor bataye. Iske alawa post pasand ayi ho to ise aage jaroor share kare. Aur Tech Hindi Gyan ko FOLLOW kare. Taaki hamare sabhi naye post ki notifiaction aapko lagatar milti rahe.

Apna Kimpti Samay Dene Aur Post Padhne Ke Liye
Thanks / Dhanyaawaad  ☺☺☺

Related Posts :

Comments